| |
| MERI MAA |
| |
Zindagi ki tapti dhoop main ek thanda saaya paaya hai maine
Jab kholi aankh to apni Maa ko muskurata hua paaya hai maine, |
| |
Jab bhi Maa ka naam liya,
Us ka beshumaar pyaar paaya hai maine, |
| |
Jab koi dard mehsoos hua, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mein apni Maa ko paaya hai maine, |
| |
Jaagti rahi woh raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, use jagaaya hai maine, |
| |
Zindagi ke har modh par, jab hui gumraah main
Iski hidaayat par, pakadh li seedhi raah maine, |
| |
Jis ki dua se har museebat laut jaaye,
Aisa farishta paaya hai maine, |
| |
Meri har fikr ko jan'newali,
Mere jazbaaton ko pehcan'ne wali, |
| |
Aisi hasti paayi hai maine,
Meri zindagi sirf meri Maa hai, |
| |
| Isi ke liye to Is zindagi ki shama jala rakkhi hai maine |
| |
| ...................................................................................................................................................................................................... |
| |
| Dai De Duwa, Dai de Duwa |
| Mairi Pyari Maa'n |
| Dai De Duwa |
| Jannat mairi Talway teray |
| Khushyaa'n mairi sadqay teray |
| Mairay sar pe teyra haath ho |
| teyri goad main ho sar maira |
| Dai de duwa, dai de Duwa |
| Mairi pyari maa'n |
| Dai de duwa. |
| |
| ...................................................................................................................................................................................................... |
| |
Is wajood ki bay basi k kya hay kahna,
Jiss k juram ha bhuri maa hona.
Is kay bachon ko is say mohabbat nahi
Is kay bachon ko is ki zarorat nahi
Apnay baitay kailiya jaan k bhooj hay |
| |
Baitiyun k liya woh alag rog hai
baitay chahte hain darulamaan bhaig dain
baitiyan ki dua ha k woh chal se
maa ki dunya fakat ek ansoo bani
apnay rab se ab is ki ya khuswaish howe |
| |
Ay mery khuda abb othalay mujhy
zindagi ki mujhy abb zarorat nahi
mein nay to in ki khushyaan ki khaatir sahe
Rab say mangi hamisha woh zindagi
jiss me jugno hamisha chamakte rahy
jiss me mosam kay rang yun bikharte rahain
In ki aankhon mein jo khuwab bharte rahain ..... |
| |
| ...................................................................................................................................................................................................... |
| |
| Aaise ada sirf MAA ke pass hoti hai..... |
| |
Suna kar pariyon ki kahani,
Baache ko bhukha sula daite hai,
Aaise ada sirf MAA ke pass hoti hai..... |
| |
Baata kar chand, taaron ko khilona,
Baache ka dil behla daite hai,
Aaise ada sirf MAA ke pass hoti hai..... |
| |
Aankhon main bhaare ho aansoo,
hooton par woh muskaan kheela daite hai,
Aaise ada sirf MAA ke pass hoti hai..... |
| |
Jab na mile gum main koiye sahara,
Goad main bhar kar seene se laga laite hai,
Aaise ada sirf MAA ke pass hoti hai..... |
| |
| |